jab shakh-e-gul chatakh ke giri raaz ki tarah khushbu ka dil laraz utha aawaz ki tarah wo dhul jis ko di na kisi shahar ne aman lipti hui hai panw se dam-saz ki tarah itna hawas-gir tha suraj ka iztirab manzar badal gae tere andaz ki tarah panw tale zamin nahin lekin khalaon se rishta mila raha hun rag-e-saz ki tarah is munjamid sukut mein 'khalid' meri sada pathra gai hai hasrat-e-parwaz ki tarah