jab shaKH-e-tamanna pe koi phul khila hai

jab shakh-e-tamanna pe koi phul khila hai
ummid ke sahraon mein tufan utha hai

tu meri nigahon mein jise dhundh raha hai
wo husn mere sher ke parde mein chhupa hai

tham tham ke chamakte rahe palkon pe sitare
ruk ruk ke tere dard ka afsana kaha hai

apne hi muqaddar ka koi phul na jaga
ek umr bahaaron ne lahu mera piya hai

is tarah se badli hai gulistan ki haqiqat
shabnam ke khunuk jism pe shaalon ki rida hai

shayad hai wahi meri mohabbat ka hayula
ek saya jo chup-chap dariche mein khada hai

takhliq isi se hui naghmat ki duniya
'iqbaal' ko jo gham teri khushiyon se mila hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close