jab shama hansi to parwane masum shararat kar baiThe

jab shama hansi to parwane masum shararat kar baithe
nazuk sa jigar aur ye jurat shoale se mohabbat kar baithe

allah re junun-e-khud-gharzi aazad hue jab ahl-e-qafas
tamir-e-nasheman par qurban gulshan ki latafat kar baithe

dekha jo unhen kuchh kah na sake kya jaaniye kya dil mein aaya
ashkon ke sahaare chupke se izhaar-e-mohabbat kar baithe

rona to likha tha qismat mein han un se mile jab aai hansi
kambakht ye aansu bhi na thame tauhin-e-masarrat kar baithe

guzregi jo dil par jhelenge hans hans ke ajal se khelenge
jo hashr bhi hoga dekhenge ab hum to mohabbat kar baithe

jine ka saliqa tha jin ko wo maut ke hathon mit na sake
tadbir pe jin ka bas na chala qismat ki shikayat kar baithe

phulon ki jo rag-rag mein hai rawan wo khun hai qalb-e-khar mein bhi
gul par ho agar ye raaz ayan kante se mohabbat kar baithe

taron ki tarah raushan hi rahe wo sabza-o-gul ke daman par
jo qatra-e-shabnam suraj ki kirnon se baghawat kar baithe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close