jab tabiat sukun se ghabrai le chala zauq-e-abla-pai wo hue mail-e-masihai maut phir zindagi se sharmai zulf bikhri ki bas ghata chhai ahl-e-taqwa pe ek bala aai tair-e-arzu ne par tole sehn-e-dil mein chali hai purwai mud ke tufan ko barha dekha nazd-e-sahil jo mauj le aai kashmakash wo junun-o-hosh mein hai ban gaya husn bhi tamashai ruh-o-tan mein azal se nisbat hai phir bhi hain tishna-e-shanasai shaikh ko khuld-o-hur ka sauda hae ye lazzaton ki girai mai-kada ka ye moajiza hai ajib kufr-o-din mein bhi hai shanasai shaghl-e-mai fart-e-gham mein kya karte is mein thi dukht-e-raz ki ruswai din ko masjid to shab ko mai-khana tujh sa 'farhat' hai kaun harjai