jab tak ghubar-e-rah mera ham-safar raha rasta to tha tawil magar mukhtasar raha har chand ho gaya hai surayya se bhi buland lekin shajar jafa ka sada be samar raha ahl-e-junun ne tod diye wo hisar bhi hosh-o-khirad ka tesha jahan be-zarar raha ye mai-kada hai jae ibaadat hai rind ki duniya ka har fareb yahan be asar raha fasl-e-khizan mein is ka koi tazkira nahin sadiyon talak bahaar ka jo rahbar raha