jab tan na raha mera hun wasil-e-jaanana diwar ke girne se ham-saya ho ham-khana aaine mein dekh aa kar munh apna ai jaanana ta-qadr meri jaane kash apna ho diwana us zulf mein kai din se betabi-e-dil gum hai zanjir jhanakti nain kya mar chuka diwana bijli mere nale ki jun chamke to mund aankhen ai aashna aage tu itna na tha begana dil sharm-e-mohabbat se tar hai tu na pher aankhen kyunkar pise chakki mein bhiga hua hai dana 'uzlat' gaya aankhon se is waste ji us ka hai shama ki chashm-e-tar turbat-gah-e-parwana