jab tawaqqo ka silsila tuta khush-gumani ka daera tuta nind tuti to khwab tut gae aks bikhra jab aaina tuta aaj phir justuju ki maut hui aaj phir mera hausla tuta tabsira zindagi pe kya kije jaise pani ka bulbula tuta aaj 'mahwar' hai is qadar tanha jaise khud se bhi rabta tuta