jab tere tasawwur se taslim ki shah pai

jab tere tasawwur se taslim ki shah pai
chup-chap raha shair dasti rahi tanhai

sad-rang gulistan hain raqsan pas-e-manzar mein
allah re is gul ki ye anjuman-arai

shayad teri yaadon se kuchh is ka ta'alluq hai
ek aag laga baithi ye dur ki shahnai

ye ijz-e-hunar kab hai izhaar-e-haqiqat hai
imkan se aage hai zarraat ki pahnai

shair ki ibaadat hai mahtab ke mandir mein
tere but-e-simin ke qadmon pe jabin-sai

'qazi' mere sine ki ye aag sulagti si
bhigi hui raaton ne kuchh aur bhi bhadkai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close