jab tujhe yaad karen kar-e-jahan khenchta hai aur phir ishq wahi koh-e-giran khenchta hai kisi dushman ka koi tir na pahuncha mujh tak dekhna ab ke mera dost kaman khenchta hai ahd-e-fursat mein kisi yar-e-guzishta ka khayal jab bhi aata hai to jaise rag-e-jaan khenchta hai dil ke tukdon ko kahan jod saka hai koi phir bhi aawaza-e-aina-giran khenchta hai intiha ishq ki koi na hawas ki koi dekhna ye hai ki had kaun kahan khenchta hai khinchte jate hain rasan-basta ghulamon ki tarah jis taraf qafila-e-umr-e-rawan khenchta hai hum to rahwar-e-zabun hain wo muqaddar ka sawar khud hi mahmez kare khud hi inan khenchta hai rishta-e-tegh-o-gulu ab bhi salamat hai 'faraaz' ab bhi maqtal ki taraf dil sa jawan khenchta hai