jab un ke kuche mein jaana paDta hai

jab un ke kuche mein jaana padta hai
rahon mein be-dard zamana padta hai

baaton ki qimat jab ghatne lagti hai
tab ashkon ko kaam mein lana padta hai

rahbar bas rasta batlate rahte hain
manzil tak rahi ko jaana padta hai

pukhta kar le ai zahid apna iman
masjid se pahle mai-khana padta hai

aise bhi gul hain jin ko is duniya mein
khilne se pahle murjhana padta hai

yunhi khun-rezi thodi ho jati hai
pahle nafrat ko uksana padta hai

dil mein hai to bas dil mein hi mat rakhiye
is duniya mein pyar jatana padta hai hai

pahle aansu se dil halka hota tha
ab aankhon se khun bahana padta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close