jab us ke hi milne se nakaam aaya to ya-rab ye dil mera kis kaam aaya kabhi us taghaful-manush ki taraf se na qasid na nama na paigham aaya sad-afsos dam apna nikla hai kis dam ki jab ghar se ghar tak wo gulfam aaya mujhe subh ko qatl kar wo masiha jo ghar apne farkhanda farjam aaya kisi ne meri baat bhi wan na puchhi agarche har ek khas aur aam aaya gharaz phir usi ko jo yaad aai meri to ghabra ke jis dam hui sham aaya jalaya uthaya gale se lagaya azizo phir aakhir wahi kaam aaya gai bewafai 'nazir' ab jahan se wafa-dariyon ka bhi hangam aaya