jab wo aali-dimagh hansta hai ghuncha khilta hai bagh hansta hai hath mein dekh kar tere marham mere sine ka dagh hansta hai kya hawa phir gai hai gulshan ki saut-e-bulbul ko zagh hansta hai shama har sham tere rone par subh-dam tak charagh hansta hai shaikh ki dekh surat-e-taqwa aaj 'hatim' ayagh hansta hai