jab ye aalam ho to likhiye lab-o-rukhsar pe khak udti hai khana-e-dil ke dar-o-diwar pe khak tu ne mitti se ulajhne ka natija dekha dal di mere badan ne teri talwar pe khak hum ne muddat se ulat rakkha hai kasa apna dast-e-dadar tere dirham-o-dinar pe khak putliyan garmi-e-nazzara se jal jati hain aankh ki khair miyan raunaq-e-bazar pe khak jo kisi aur ne likkha hai use kya malum lauh-e-taqdir baja chehra-e-akhbar pe khak chaar diwar-e-anasir ki haqiqat kitni ye bhi ghar dub gaya dida-e-khun-bar pe khak pa-e-wahshat ne ajab naqsh banae the yahan ai hawa-e-sar-e-sahra teri raftar pe khak ye ghazal likh ke harifon pe uda di main ne jam rahi thi mere aaina-e-ashaar pe khak ye bhi dekho ki kahan kaun bulata hai tumhein mahzar-e-shauq padho mahzar-e-sarkar pe khak aap kya naqd-e-do-alam se kharidenge ise ye to diwane ka sar hai sar-e-pindar pe khak