jabin-e-sang pe likkha mera fasana gaya main rahguzar tha mujhe raund kar zamana gaya naqab odh ke aae the raat ke qazzaq pighalti sham se sab dhup ka khazana gaya kise khabar wo rawana bhi ho saka ki nahin tumhaare shahr se jab us ka aab-o-dana gaya wo chal diya to nigahon se ki dilon se ghurur labon se zahr hawaon se taziyana gaya ye jaanta hun ki tu ne liya tha rok use magar wo aatishin aansu mujhe jala na gaya main ek dolta sagar mujhe uthata kaun ghata utha ke chali thi magar chala na gaya kahan gaya main bichhad kar kise khabar hogi jo ek bar yahan se hua rawana gaya