jabin ki dhul jigar ki jalan chhupaega shuru-e-ishq hai wo fitratan chhupaega damak raha hai jo nas nas ki tishnagi se badan is aag ko na tera pairahan chhupaega tera ilaj shifa-gah-e-asr-e-nau mein nahin khirad ke ghaw tu diwana-pan chhupaega hisar-e-zabt hai abr-e-rawan ki parchhain malal-e-ruh ko kab tak badan chhupaega nazar ka fard-e-amal se hai silsila darkar yaqin na kar ye siyahi kafan chhupaega kise khabar thi ki ye daur-e-khud-gharaz ek din junun se qimat-e-dar-o-rasan chhupaega tera ghubar zamin par utarne wala hai kahan tak ab ye bagula thakan chhupaega khulega baad-e-nafas se jo rukh pe nil-kanwal use kahan tera ujla badan chhupaega tere kamal ke dhabbe tere uruj ke dagh chhupaega to koi ahl-e-fan chhupaega jise hai faiz meri khanqah se 'danish' wo kis tarah mera rang-e-sukhan chhupaega