jafa ke baad hua hai magar malal to hai khusha-nasib unhen phir mera khayal to hai adu ki bazm-e-tarab mein sharik kya hote mizaj-e-dost mein ab tak bhi ishtial to hai zaban pe harf-o-hikayat kya zaruri hain gareban chaak dikhana hi arz-e-haal to hai kisi ki rah-e-mohabbat mein gamzan hona hayat ka yahi zarrin ek maal to hai junun-e-shauq ki takmil ho na ho phir bhi kisi ke pesh-e-nazar ishq ka sawal to hai nazar mein pyar ishaaron mein dil ki baat ka aks zaban pe zahiri ek un ki qil-o-qal to hai tasawwuraat mein koi sama raha hai 'khizar' qarar phir na sahi azm-e-nek-fal to hai