jafa par jaan dete hain sitam par tere marte hain

jafa par jaan dete hain sitam par tere marte hain
ye nakaam-e-mohabbat sach to ye hai kaam karte hain

kahen kya hum pe jo sadme guzarte hain guzarte hain
lagaya jis ghadi dil us ghadi ko yaad karte hain

tamasha jab se dekha hai mere dil ke tadapne ka
tamasha hai ki wo apni nazar se aap darte hain

nahin aate na aaen wo gae tab-o-tawan jaen
tujhi par aaj hum ai be-qarari sabr karte hain

gali kuchon mein tum ne ishtihaar-e-ishq phailae
ki ud-ud kar mere maktub ke purze bikharte hain

ada be-sakhta un gesuon ki kuchh nirali hai
banae se bigadte hain sanware se bikharte hain

na puchho 'dagh' hum se intizar-e-yar ki surat
ye aankhen jaanti hain khub jo naqshe guzarte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close