jag utha jab bhi shuur-e-zat bistar chhod ke khud alag ho jaenge qatre samundar chhod ke tutne tak jism se be-rabt sanson ka tilism meri tanhai kahan jae mera ghar chhod ke ek hi markaz pe laut aate hain sare raste hum kidhar jaen tera kucha tera dar chhod ke mausamon ki gard bhi jin ko na dhundla kar saki aks wo dil par gaya hai aaina-gar chhod ke pai-ba-pai har ek chaal ulti hi wo chalta raha shah kahi hum ne use phir bhi kai ghar chhod ke ishq ko tahrik bakhshe phir ada-e-sadgi phir koi mehrunnisa dekhe kabutar chhod ke har taraf ai 'mauj' aangan mein dar-o-diwar se dhup utar aai to hum utthe hain bistar chhod ke