jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin hasil hamare mulk-e-qanaat ka kam nahin is sath mah-rukhan ko nahin kuchh barabari yusuf se ye nigar-e-pari-zad kam nahin khush-suratan se kya karun main aashnai ab mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin dil bandhte nahin hain hamare milap par mah-talatan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin milte ho sab ke ja ke ghar aur hum sun ho kanar kuchh hum to un chakoron se ai mah kam nahin zahir ke dost aate nahin kaam waqt par talwar kat kya kare jis ko jo dam nahin 'faez' ko bhaya misra-e-'yakrang' ai sajan gar tum miloge un seti dekhoge hum nahin