jagna raaton mein yaadon ke bhanwar mein dubna wo dil-e-muztar ka sail-e-chashm-e-tar mein dubna pahle apne nafs ki mismar karni hai fasil aur us ke baad hai kar-e-digar mein dubna bhar liya aankhon mein dariyaon ko dariya ke liye sakht mushkil ho gaya pani ke ghar mein dubna aur honge wo jinhen duniya ka ho khauf-o-hiras hum ne sikha hi nahin duniya ke dar mein dubna aabla-pai ka mausam ras aa jata agar kaam aa jata mera gard-e-safar mein dubna dub ke ubhre hain hum duniya ke har majdhaar se ab raha baqi faqat naqd-o-nazar mein dubna dusron ki aib-jui jis qadar aasan hai utna hi dushwar hai khud ki nazar mein dubna jaane kis manzil pe le jae tujhe jazb-e-junun har qadam 'najmi' tera naqd-o-nazar mein dubna