jagte din ki gali mein raat aankhen mal rahi hai waqt guzra ja raha hai dhup chhat se tal rahi hai ek libas-e-fakhira hai surkh gharqabi mahal hai kuchh purani ho gai hai par kahani chal rahi hai ek sitara saz aankhon ke kinare bas raha hai ek mohabbat nam ki ladki badan mein pal rahi hai pas tha khoya nahin hai jo na tha ab bhi nahin hai umr bhar phir kyun tabiat muztarib be-kal rahi hai aana jaana sans ka kya wasl se mashrut hai tu chale to tham rahi hai tu ruke to chal rahi hai zard-ru wahshat-zada bhatki hui viran si zindagi ek sham hai aur sham ban mein dhal rahi hai