jagti aankhon mein tha ambar khula so gae to khwab mein ek dar khula nam jab dil ne pukara ya-ali to sabhi par mani-e-lashkar khula be-khayali mein chhua us ne mujhe husn ka ek dar mere andar khula khinch lunga dhup ki taswir main rah gaya ghar mein andhera gar khula zindagi mein rang bharne hon agar rakkho apne samne manzar khula khwahishen lene lagin angdaiyan jab tera saya dariche par khula sath rah kar bhi rahe hum ajnabi ek muddat baad ye hum par khula khubsurat phul hain is ped ke ya koi baitha hai baal-o-par khula