jagti aankhon se wabasta diya mange hai

jagti aankhon se wabasta diya mange hai
waqt-e-ummid basarat ki dua mange hai

gard-alud fazaon mein bhatakta mausam
gum-shuda lamha se khud apna pata mange hai

aks-dar-aks haqiqat ki lakiren raushan
khwab-dar-khwab koi husn-e-ada mange hai

apni majruh nigahon ka safar hai jari
justuju karb-e-masafat ki dawa mange hai

munsif-e-waqt ki maghrur samaat 'khawar'
gunge mujrim se sadaqat ki nawa mange hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close