jah-o-hashmat nahin jalal nahin phir bhi chhede koi majal nahin izzat-e-nafs sab ko pyari hai fard ya qaum ka sawal nahin han wo behad hasin sahi lekin bazm-e-alam mein be-misal nahin kaise shikwe gile ki muddat se hijr hi hijr hai visal nahin meri hasti wajud rakhti hai main kisi zehn ka khayal nahin apne mazi pe sirf naz kare itna guzra hua bhi haal nahin apne fan ke dikhaiye 'jauhar' sher kahna koi kamal nahin