jahan-e-girya jo aadam ko khuld ka dukh hai isi lihaz se dharti hawa khala dukh hai kabhi firaq ki raaton mein aaina dekhun to khud se kahta hun dekho ye aaina dukh hai shadid rona to andar ka habs ghutna hai khichao hansne se padta hai qahqaha dukh hai zamin gol hai meri wafat ne khola ki dost ammi se kahte the ye bada dukh hai main banjh ped hun saya na phal mere upar mujhe samay de kabhi puchh mujh ko kya dukh hai tamam khushiyan ikatthi thin ek dukh ke gird unhen dhakel ke chikha hato mera dukh hai main khud se jang mein haara hua sipahi hun ki jis ka rabta number ata-pata dukh hai