jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga isi umid pe kab se dhadak raha hai dil tere huzur kisi roz ye talab hoga makan to honge makinon se sab magar khali yahan bhi dekhun tamasha ye ek shab hoga koi nahin hai jo batlae mere logon ko hawa ke rukh ke badalne se kya ghazab hoga na jaane kyun mujhe lagta hai aisa hakim-e-shahr jo hadisa nahin pahle hua wo ab hoga