jahan mein aae na koi kami mohabbat ki sada lagata rahunga yunhi mohabbat ki ye dil jo bagh ki surat mahak raha hai miyan kabhi khili thi yahan ek kali mohabbat ki na jaane kitne hi lamhe palak pe thahr gae kisi ne baat jo chhedi kabhi mohabbat ki rakha hai ek hi mear har mohabbat mein so jis kisi se bhi ki ek si mohabbat ki tha pahli pahli mohabbat ka nashsha khub magar kuchh aur baat hai is aakhiri mohabbat ki ye shahr-e-dil ke makinon ko khub hai malum har ek pe khulti nahin hai gali mohabbat ki na mal-o-zar ki talab phir use hui koi jise nasib hui hai pari mohabbat ki jab aaine mein nazar aae koi aur hi shakhs hai pahli pahli alamat yahi mohabbat ki wahi to jaan sakega hamara haal 'aqil' wo jis ne hijr saha ya kabhi mohabbat ki