jahan mein haal mera is qadar zabun hua ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukun hua gharib dil ne bahut aarzuen paida kin magar nasib ka likkha ki sab ka khun hua wo apne husn se waqif main apni aql se sair unhon ne hosh sambhaala mujhe junun hua ummid-e-chashm-e-murawwat kahan rahi baqi zariya baaton ka jab sirf telephone hua nigah-e-garm christmas mein bhi rahi hum par hamare haq mein december bhi mah-e-june hua