jahan mein koi tumhaara jawab ho na saka

jahan mein koi tumhaara jawab ho na saka
sitara lakh badha aaftab ho na saka

khushi ke chand hi lamhe the gin liye lekin
gham-e-jahan ka kisi se hisab ho na saka

yahan to chaaron taraf pattharon ki barish thi
koi bhi sang nishana-maab ho na saka

qusur is ko samjhiye meri basarat ka
wo be-libas raha be-hijab ho na saka

mere lahu ne bahaaron ko tazgi de di
fasurda un ke labon ka gulab ho na saka

ise samajhna to mumkin nahin hai ai 'anwar'
wo ek chehra jo dil ki kitab ho na saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close