jahan pe dub gaya tha kabhi sitara mera usi ufuq pe jahan-tab hai nazara mera yahi hua ki parinde faza mein tair gae na kaam aain meri bandishen na chaara mera hawa-e-dasht bhi majnun-sifat nahin hai agar to is maqam pe shayad na ho guzara mera abhi to harf-e-tamanna likha nahin main ne abhi se kyun waraq-jaan hai para para mera na aag lagti na taqsim-e-jism-o-jaan hoti fughan ki shahr-e-sitam par nahin ijara mera wo tirgi hai ki rah-e-khayal bhi gum hai na aasman hai raushan na istiara mera na koi dasht munawwar hua na dar 'nami' nawah-e-ghair mein jal bujh gaya sharara mera