jahan sansen nahin chaltin wahan kya chal raha hai bahisht-e-khak mein ai raftagan kya chal raha hai purane dukh nae kapde pahan kar aa gae hain ye apne shahr mein aazurdagan kya chal raha hai ye jin ke ashk meri jaan ko aae hue hain main un se puchh baitha tha miyan kya chal raha hai hamara bhuk ne munh bhar diya hai galiyon se tumhaare bad-nasibon ke yahan kya chal raha hai hain ashkon ke nishane par musalsal dukh hamare ye chaalen hum se andoh-e-jahan kya chal raha hai nadamat se main apna munh chhupata phir raha hun ye mere doston ke darmiyan kya chal raha hai yahan har roz honton ke gine jate hain tanke tumhaare shahr mein shoala-bayan kya chal raha hai chala kar goliyan mujh par parindon ko batao jahan pinjre nahin bante wahan kya chal raha hai to phir qabu kiya hai hijr kis jadu se tum ne udasi gar nahin afsurda-gan kya chal raha hai hamare rahbaron ko jaan ke lale pade hain tumhaare rahbaron mein gumrahan kya chal raha hai