jahan tum jalwa-gar hote wahan par tur ho jata zamin ka zarra zarra nur se mamur ho jata main tujh ko dekh kar masti mein aisa chur ho jata ki duniya kya hai apne aap se bhi dur ho jata ghanimat hai uchatti hi nazar un ki padi mujh par main kya karta nazar ka war agar bharpur ho jata zara si jurat-e-kirdar bhi hoti agar hum mein zamana rukh badalne ke liye majbur ho jata faqat shohrat nahin hai maqsad-e-sher-o-sukhan 'arif' zara koshish jo karta main bahut mashhur ho jata