jahil ko agar jehl ka inam diya jae is hadisa-e-waqt ko kya nam diya jae maikhane ki tauhin hai rindon ki hatak hai kam-zarf ke hathon mein agar jam diya jae hai khu-e-ayazi hi sazawar-e-malamat mahmud ko kyun tana-e-ikram diya jae zid hai ki unhen man ke sarkhil-e-bahaaran ghunchon ki taraf se koi paigham diya jae hum maslahat-e-waqt ke qail nahin yaro ilzam jo dena hai sar-e-am diya jae behtar hai ki is bazm se uth aaiye 'mohsin' sarqe ko jahan rutba-e-ilham diya jae