jaisa manzar mile gawara kar tabsire chhod de nazara kar ab to jine ki aarzu bhi nahin chaaragar ab to koi chaara kar wasl kis ko nasib hota hai 'dagh' ke sher par guzara kar apne allah se ho jab shikwa sab ke allah ko pukara kar hum to bande hain jumbish-e-lab ke yun na khamosh rah ke mara kar