jaise aks-e-falak habab mein ho

jaise aks-e-falak habab mein ho
ek qatra kahin sarab mein ho

ashk-e-sakit mein kya jaga gham-e-ishq
chand aaghosh-e-khwab-e-ab mein ho

na hanse apni bebasi par bhi
kya pata kaun kis azab mein ho

aai hai phir kisi ke haq mein saza
jurm kis ke magar sawab mein ho

dil khizan-gah-e-do-jahan hi sahi
rang-e-khun aisa kis gulab mein ho

jo main zarre se is jahan ki hun fikr
kya ajab jo ye iztirab mein ho

harf-e-akhir lage hai qaul mera
ek sawal-e-nihan jawab mein ho

in do misron mein hai meri aawaz
phul jaise koi kitab mein ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close