jaise tazad hota hai lail-o-nahaar mein

jaise tazad hota hai lail-o-nahaar mein
waisa hi farq hota hai qaul-o-qarar mein

tum hi batao kya hai mere ikhtiyar mein
main is bisat-e-dahr pe hun kisi shumar mein

kya jaane kya kashish hai ye musht-e-ghubar mein
jakde hue sabhi hain gham-e-rozgar mein

tadpa hai khub mahi-e-be-ab ki tarah
ab bhi dil-e-hazin hain tere intizar mein

mahsus kar rahe hain magar bolte nahin
tabdiliyan jo aai hain kirdar-e-yar mein

ye inqalab dekha hai daur-e-jadid ka
ghaddar khud ko ginte hain ab jaan-nisar mein

'maqsud' wo bhi bahr-e-mulaqat aaenge
pathra gai hain aankhen isi intizar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close