jal mein zar ke agar moti ka dana hoga wo na is dam mein aawega jo dana hoga dam-e-zulf aur jahan khal ka dana hoga phans hi jawega gharaz kaisa hi dana hoga dil ko hum lae the mizhgan ki safen dikhlane ye na samjhe the ki tiron ka nishana hoga aaj dekh is ne meri chah ki chitwan yaro munh se go kuchh na kaha dil mein to jaana hoga bhar nazar dekhenge us ahd-shikan ki surat dekhiye kaun sa ya-rab wo zamana hoga khun bahane ka mere hashr mein jab hoga baha dekhen kya us ghadi qatil ko bahana hoga wo bhi kuchh aisi hi kah dega ki jis se us ko baat ki baat bahane ka bahana hoga talkhi-e-marg jise kahte hain afsos afsos ek din sab ke tain zahr ye khana hoga dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'nazir' phir tera kahe ko is bagh mein aana hoga