jala jala ke diye pas pas rakhte hain hum apne aap ko aksar udas rakhte hain gulon ka rang phalon ki mithas rakhte hain kuchh aadmi bhi shajar ka libas rakhte hain unhen bhi khali gilason ka tutna hai pasand zarur wo bhi koi zakhm-e-yas rakhte hain jo log nek the shabnam se ho gae sairab wo kya karen jo samundar ki pyas rakhte hain sukut-e-ab pe kankar uchhaal kar khush the ab aaj pani pe ghar ki asas rakhte hain jinhon ne abr ke sae kabhi nahin dekhe wo regzar bhi phulon ki aas rakhte hain hawas ki naw badan ke bhanwar mein dub gai hum aise aur kai iqtibas rakhte hain