jala ke aankhen siyah shab ko khangalna hai isi andhere se hum ko suraj nikalna hai jo baqi chizen hain wo to main sab sambhaal lunga tumhein ye karna hai sirf mujh ko sambhaalna hai shikast jis ka nasib hogi kuchh us ka socho tumhaara kya hai tumhein to sikka uchhaalna hai wo sang-dil hai magar use mom kar raha hun inhin chatanon se mujh ko dariya nikalna hai wahi gali jis ki hum kabhi khak chhante the sitam to ye hai usi pe ab khak dalna hai