jalao gham ke diye pyar ki nigahon mein ki tirgi hai bahut zindagi ki rahon mein suna ki ab bhi sar-e-sham wo jalate hain udasiyon ke diye muntazir nigahon mein gham-e-hayat ne daman pakad liya warna bade hasin bulawe the un nigahon mein kahin qarib kahin dur ho gae 'jami' wo zindagi ki tarah zindagi ki rahon mein