jalta hua jo chhod gaya taq par mujhe dekha na is ne lut ke pichhle pahar mujhe wahshat se tha nawazna itna agar mujhe sahra diya hai kyun faqat aafaq bhar mujhe main gunjta tha harf mein dhalne se peshtar ghera hai ab sukut ne auraq par mujhe sham-o-sahar ki gardishen bhi dekhni to hain ab chaak se utar mere kuza-gar mujhe darya-e-maug-khez bhi jis par sawar tha hona pada sawar usi naw par mujhe mujh mein tadap raha hai koi chashma-e-sukut zarb-e-asa se dekh kabhi tod kar mujhe pahuncha kidhar yahan na zamin hai na aasman ab kaun si masafaten karni hain sar mujhe the ganj-e-be-qayas tah-e-qulzum-e-wajud duba jo main to mil gae lal-o-guhar mujhe jo la sake na tab hi mere junun ki is dasht-e-kam-sawad mein dakhil na kar mujhe shayad hata hai ghaib ka parda 'rafiq-raaz' aata hai nakhl-e-ab pe shoala nazar mujhe