jalta hun hijr-e-shahid o yaad-e-sharab mein shauq-e-sawab ne mujhe dala azab mein kahte hain tum ko hosh nahin iztirab mein sare gile tamam hue ek jawab mein phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surkh se dil ko ghazab fishaar hua pech-o-tab mein chin-e-jabin ko dekh ke dil basta-tar hua kaisi kushud-e-kar kushad-e-naqab mein hum kuchh to bad the jab na kiya yar ne pasand ai hasrat is qadar ghalati intikhab mein rahte hain jama kucha-e-jaanan mein khas o aam aabaad ek ghar hai jahan-e-kharab mein aankh us ki phir gai thi dil apna bhi phir gaya ye aur inqilab hua inqilab mein badnam mere girya-e-ruswa se ho chuke ab uzr kya raha nigah-e-be-hijab mein matlab ki justuju ne ye kya haal kar diya hasrat bhi ab nahin dil-e-nakaam-yab mein goya ki ro raha hun raqibon ki jaan ko aatish zabana-zan hui tufan-e-ab mein nakaamiyon se kaam raha umr bhar hamein piri mein yas hai jo hawas thi shabab mein hai ikhtiyar-e-yar mein sud o ziyan magar fazil the hum jahan se qaza ke hisab mein naseh hai aib-ju o dil-azar is qadar goya sawab hai sukhan-e-na-sawab mein donon ka ek haal hai ye muddaa ho kash wo hi khat us ne bhej diya kyun jawab mein taqdir bhi buri meri taqrir bhi buri bigde wo pursish-e-sabab-e-ijtinab mein kya jalwe yaad aae ki apni khabar nahin be-baada mast hun main shab-e-mahtab mein hai minnaton ka waqt shikayat rahi rahi aae to hain manane ko wo par itab mein teri jafa na ho to hai sab dushmanon se amn badmast ghair mahw dil aur bakht khwab mein paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-wida 'momin' khuda ko bhul gae iztirab mein