jalwa-e-yar meri rahguzar tak pahunche zauq-e-didar agar tab-e-nazar tak pahunche us ki ye zid mere qadmon ko nahin thi manzur us ne chaha to bahut tha mere sar tak pahunche aa gai sharm dawaon ko asar kar na sakin jab uthe hath duaon ke asar tak pahunche fitna-gar nam isi ka hai amal radd-e-amal tere fitne the palat kar tere dar tak pahunche tu bhi pahchan na paega khad-o-khal tere tere bahrup agar meri nazar tak pahunche mere apne hi meri pith ke khanjar nikle ghair to mujh ko bachane mere ghar tak pahunche ek sirf aap hain milte nahin us se warna log ye fakhr se kahte hain 'qamar' tak pahunche