jalwa-gar sochon mein hain kuchh aagahi ke aaftab raushni se likh raha hun zindagani ka nisab pattharon se kab talak bandhegi ummid-e-wafa zindagi dekhegi kab tak jagti aankhon se khwab kya khabar wo kaun hain roz-e-jaza ke muntazir chashm-e-bina ke liye har roz hai roz-e-hisab khak zinda gar kare husn-e-azal ki aarzu darmiyan rahta nahin phir koi bhi tar-e-hijab jaante hain wo husul-e-maya ki har ek sabil hifz hain sajjadgan ko khanqahi ke nisab inqalab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil pattharon ko de rahe hain aaine khul kar jawab