jalwa jo tere ruKH ka ehsas mein Dhal jae

jalwa jo tere rukh ka ehsas mein dhal jae
is aalam-e-hasti ka aalam hi badal jae

un mast nigahon ka ek daur jo chal jae
hum dard ke maron ki taqdir badal jae

masruf-e-ibaadat ka yun khatm ho afsana
sar ho teri chaukhat pe dam mera nikal jae

tu lakh bacha daman dar se na uthunga main
un mein se nahin hun main tale se jo tal jae

ai jaan-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de
aisa na ho diwana qadmon pe machal jae

hasrat bhari aankhon mein ek pal ke liye aa ja
dekhe jo teri surat diwana bahal jae

tu aag mohabbat ki bhar de meri nas nas mein
har zarra mere dil ka is aag mein jal jae

bijli tere jalwon ki gir jae kabhi mujh par
ai jaan meri hasti is aag mein jal jae

ai chaaragaro dekho bimar-e-mohabbat hun
tadbir karo aisi dil jis se bahal jae

tu jazb-e-mohabbat mein kar le wo asar paida
jis samt nazar utthe ek tir sa chal jae

pamal-e-rah-e-ulfat ho jaun mohabbat mein
wo shokh agar mujh ko qadmon se masal jae

taqdir kare ehsan yun baad-e-'fana' mujh par
khak-e-dar-e-jaanana munh par mere mal jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close