jalwe hon ru-ba-ru to tamasha kare koi

jalwe hon ru-ba-ru to tamasha kare koi
jab kuchh nazar na aae to phir kya kare koi

husn-e-latif kyon ho asir-e-nigah-e-shauq
hum khud ye chahte hain ki parda kare koi

sadha hijab-ha-e-tayyun ke bawajud
wo kya karen jo un ki tamanna kare koi

tharra ke rah gai hai meri kaenat-e-hosh
aise bhi samne se na guzra kare koi

kis kis se rah-e-dost mein daman chhudaiye
har zarra chahta hai ki sajda kare koi

har qalb muztarib hai magar un ki maslahat
duniya kharab-e-gham hai magar kya kare koi

meri nigah-e-shauq se is bazm-e-naz mein
wo husn aa raha hai ki dekha kare koi

dil aashna-e-gham ho to ai 'kaif' bazm-e-dahr
aisa nigar-khana hai dekha kare koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close