jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se hai abhi dur bahut zabt ki manzil tum se hum to dariya mein bahut dur nikal aae hain laut jao abhi nazdik hai sahil tum se justuju sarhad-e-idrak se aage na badhi do-qadam tai na hua mahala-e-dil tum se khalwat-e-shauq ke dar band kiye leta hun ab shikayat na karegi koi mahfil tum se sakht-jaani meri aasuda-e-khanjar to na thi kyun nikala gaya hausla-e-dil tum se tum to naghmon ki fasilon pe bahut nazan the kyun dabaya na gaya shor-e-salasil tum se dhadkanon ko nazar-andaz kiye jate ho phir na kahna ki mukhatab na hua dil tum se