jam lete hain na pine ko subu lete hain hum magar sarhad-e-idrak ko chhu lete hain mai mayassar jo nahin pyas bujhane ke liye hum to chalo main ab apna hi lahu lete hain meri begana-rawi mujh ko bacha leti hai intiqam apni taraf se to adu lete hain tod dete hain use kis liye phir ahl-e-junun mang kar khud hi to zanjir-e-gulu lete hain sirf aankhon ki tasalli ke liye hai ye sair rang lete hain na hum phul se bu lete hain tut jae na kisi zakhm ka tanka ai dost kaam hum zabt se hangam-e-rafu lete hain kiya 'munawar' abhi baalidgi-e-shauq ka zikr kis qadar waqt shajar bahr-e-numu lete hain