jam na rakh saqiya shab hai padi aur bhi phir jahan kat gae chaar ghadi aur bhi pahle hi saghar mein the hum to pade lotte itne mein saqi ne di us se kadi aur bhi palken to chhede thin dil mare thi barchhi-nigah abru ne us par se ek tegh jadi aur bhi kuchh tapish-e-dil thi kuchh sunte hi furqat ka nam aag si ek aag par aan padi aur bhi meri shab-e-wasl ki subh chali aati hai rok le is dam falak ek ghadi aur bhi garche ubhar aae hain tan pe mere par miyan itni lagain jahan ek chhadi aur bhi kya kahun us shokh ki wah mein khubi 'nazir' sunte hi is baat ke ek jadi aur bhi