jamal tera tera husn aaina tera

jamal tera tera husn aaina tera
khilaf ho ke bhi koi karega kya tera

hawa chaman mein bikher aati hai teri khushbu
kabhi hawaon se koi na bas chala tera

meri zaban ne paya hai aablon ka khiraj
jo bhul ke bhi kabhi nam le liya tera

jo ab bhi rakkhe hai zinda lahu ki qimat ko
hai markon mein faqat ek marka tera

yun razm-e-ab-o-atsh mein shikast aab ko di
wafa-kadon mein wafa nam pad gaya tera

tu kar ke aa bhi gaya sair aasmanon ki
mila na dhunde kisi ko bhi naqsh-e-pa tera

khabar kitabon mein likhi hai tere aane ki
isi se dekhta rahta hun rasta tera

najabaton ka jo maskan hai aaj tak 'iqbaal'
khuda ka shukr wahin se hai silsila tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close